CorelDRAW Me Welcome Screen Kya Hai Full Knowledge In Hindi

By nicevect.com

Updated On:

CorelDraw Me Welcome Screen Kya Hai Full Knowladge In Hindi Thumbnail

CorelDRAW Me Welcome Screen Kya Hai Full Knowledge In Hindi

Jab bhi hum CorelDRAW open karte hain, sabse pehle hume ek Welcome Screen dikhai deti hai. Ye screen hamara swagat karti hai aur kuch important shortcuts provide karti hai jaise:

  • Bina file menu open kiye, new document banana
  • Last opened files dekhna
  • Software updates check karna

Ye sab options hume bina kisi menu bar ke, seedhe welcome screen se mil jaate hain.

CorelDraw Me Welcome Screen Kya Hai Full Knowladge In Hindi
CorelDraw Me Welcome Screen Kya Hai Full Knowladge In Hindi

CorelDRAW X5 Ki Jankari Hindi Me

Hello Friends,
NiceVect.com me aapka swagat hai.
Is blog me aapko graphic design se judi sari jankari milegi.

Is post me hum jaanenge:

CorelDRAW Me Welcome Screen Kya Hai?

Mujhe jo version use karna pasand hai, wo hai CorelDRAW X5.

To chaliye, CorelDRAW X5 ko open karte hain…

CorelDRAW X5 Me Welcome Screen Kya Hai?

Jab hum software open karte hain to welcome screen me kuch options dikhte hain jo niche diye gaye hain:

1. Quick Start

Is section me do options hote hain:

(1) Open Recent

Yahaan aapko last time banayi ya open ki gayi files ki list milti hai.

Example ke liye: Maine “CorelDraw X5 Sikhen Hindi Me” naam ki file banayi thi, use save kar diya aur close kar diya. Jab dobara software open kiya, to wo file Open Recent section me top pe show ho rahi thi.

Is list me sirf 10-12 recent files hi show hoti hain. Jab aap mouse cursor kisi file par le jaate hain to:

  • Top Display: File ka preview show hota hai
  • Bottom Display: File ki details/information show hoti hai

Agar koi file yahaan nahi dikh rahi ho to, aap Open Other… option par click karke manually us file ko open kar sakte hain.

(2) Start New

Yahaan bhi do options hote hain:

  • New Blank Document: Naya khali document banane ke liye
  • New From Template: Ready-made templates (jo professionals ne banayi hoti hain) se naya document banane ke liye

2. What’s New

Is option me aapko software ke naye version ke changes ya naye features dikhte hain.
Jaise CorelDRAW X4 ke comparison me X5 me kya-kya naya aaya hai, wo sab yahan show hota hai.

3. Learning Tools

Ye section unke liye hai jo CorelDRAW seekhna chahte hain. Isme aapko:

  • Official English video tutorials milti hain
  • CorelDRAW X5 ki learning books bhi milti hain

Jinki madad se aap software ko detail me seekh sakte hain. Aur aap CorelDRAW ke official website par jaakar aur bhi resources dekh sakte hain.

4. Gallery

Is section me aapko professional designers ke banaye gaye creative designs dikhte hain. Isse aapko idea milta hai ki CorelDRAW X5 me kis type ke designs banaye ja sakte hain.

Aap bhi agar koi accha design banate hain to aap CorelDRAW team se contact karke apna design unhe bhej sakte hain. Agar unhe pasand aaya to next version me aapke design ko Gallery me daal diya jaayega – aapke naam ke saath.

5. Updates

Is option me aapko CorelDRAW ke naye updates ki information milti hai.
Jaise – naya version aane wala hai ya update available hai, to wo yahin show hoga.

Welcome Screen ke Bottom Me 2 Options Hote Hain:

  1. Make this the default welcome screen page: Is option ko tick karne se aap apne hisaab se default welcome screen select kar sakte hain.
  2. Always show the welcome screen at launch: Agar is option ko tick rakhenge to jab bhi aap CorelDRAW open karenge, welcome screen show hogi.
    Is option ko untick karne se aap welcome screen ko band bhi kar sakte hain.

So friends, mujhe ummeed hai ki aapko ye post “CorelDRAW Me Welcome Screen Kya Hai?” pasand aayi hogi.
Agar is post me koi kami ya suggestion ho to comment section me zaroor batayein.
Visit karte rahiye: NiceVect.com

 

Note: Ye post pehle hamari purani website SSGraphicPoint par publish ki gayi thi, lekin ab wo site available nahi hai. Isliye is post ko updated form me NiceVect.com par dobara share kiya gaya hai.

nicevect.com

I am Mohd. Sharique, a professional graphic designer with 10 years of experience in the field. Along with graphic designing, I also operate CNC router and laser machines and create perfect design files for them. My expertise includes designing visiting cards, posters, banners, personalized photo frames, and CNC/laser cutting designs. I am based in Ayodhya, Uttar Pradesh, India, and I prioritize quality and creativity in my work.

Leave a Comment

Item added to cart.
1 item - 49.00